duniya se dil laga kar duniya se kya milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega
daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani ye sab gurur ek din mitti mein ja milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega
aata nahi palat kar guzra hua zamana kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana ye zindagi ganva kar kya faayada milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega